Mahfile Ashiko Ki Ye Sajti Rahe Aur Main Ishq Ke Geet Gata Rahu

Huzoor-e-Akram ﷺ ki mohabbat mein likha gaya Azhar Farooqi Barelvi ka yeh nihayat hi shandar, dildoz aur imaan-afza naat-e-paak hai.
Saif Raza Kanpuri ki be-had khubsurat aawaaz mein is kalam mein ishq-e-Nabi, gumbad-e-khazra ki tadap, aur aqa ke darbar ki ghulami ki tamanna bayaan ki gayi hai.
Aaiye is dildoz kalam ke pakiza aur noorani alfaaz ko nihayat hi aqeedat ke sath parhein aur apne dilon mein ishq-e-Mustafa ﷺ ki shama jalayein.

Naat Information Details
Naat Title Mehfile Aashiqon Ki Yeh Sajti Rahe
Poet / Writer Azhar Farooqi Barelvi
Category Naat Sharif
Naatkhawan / Reciter Saif Raza Kanpuri

Naat Lyrics in Roman

Mehfile aashiqon ki yeh sajti rahe aur main ishq ke geet gaata rahoon,
Ya Khuda mujhko bhi tarze Hassan de ishq mein main bhi naatein sunata rahoon.

Ek din aarzoo pooch baithe Nabi bole Abu Bakr hai dil ki hasrat yahi,
Saamne aap ho aapki naat ho aur main aap par sab lutata rahoon.

Baat nikle agar unka chehra hai kya baat nikle agar unka talwa hai kya,
To kabhi phool rakh doon main tamseel mein to kabhi saamne chand laata rahoon.

Tazkira sabz gumbad ka chhedo zara aaye aankhon ko deedar ka wo maza,
Khud ko Taiba mein mehsoos karta rahoon noor hi noor mein main nahata rahoon.

Chhodkar unki chaukhat ko jaaoon kahan mere Sarkar hain Maalik-e-Do Jahan,
Sadqa Hasnain ka wo lutate rahein baith kar main bhi chaukhat pe khaata rahoon.

Aakhri ye tamanna hai beemaar ki naukri ho ata unke darbaar ki,
Zaairon ko khajoorein khilata rahoon aur bhar-bhar ke zamzam pilata rahoon.

Unki baaton ki baatein karoon raat bhar zikr unka sunaoon sunoon raat bhar,
Raat bhar husn par unke ho tabsire raat bhar unpe dil main lutata rahoon.

Padh ke Azhar darood un pe subho-o-shame darmiya se mita de har ek faasla,
Aur Aaqa ke nazdeek hota rahoon aur Aaqa ko nazdeek laata rahoon.

Naat Lyrics in Hindi

महफिले आशिकों की यह सजती रहे और मैं इश्क के गीत गाता रहूँ,
या खुदा मुझको भी तरज़े हस्सान दे इश्क में मैं भी नाते सुनाता रहूँ।

एक दिन आरज़ू पूछ बैठे नबी बोले बू-बकर है दिल की हसरत यही,
सामने आप हो आपकी नात हो और मैं आप पर सब लुटाता रहूँ।

बात निकले अगर उनका चेहरा है क्या बात निकले अगर उनका तलवा है क्या,
तो कभी फूल रख दूं मैं तमसील में तो कभी सामने चांद लाता रहूँ।

तसकीरा सबज़ गुंबद का छेड़ो ज़रा आए आंखों को दीदार का वो मज़ा,
खुद को तैबा में महसूस करता रहूँ नूर ही नूर में मैं नहाता रहूँ।

छोड़कर उनकी चौखट को जाऊं कहाँ मेरे सरकार हैं मालिक-ए-दो जहाँ,
सदका हसनैन का वो लूटाते रहें बैठ कर मैं भी चौखट पे खाता रहूँ।

आखरी ये तमन्ना है बीमार की नौकरी हो अता उनके दरबार की,
ज़ायरों को खजूरे खिलाता रहूँ और भर–भर के ज़मज़म पिलाता रहूँ।

उनकी बातों की बाते करूं रात भर ज़िक्र उनका सुनाऊं सुनूँ रात भर,
रात भर हुस्न पर उनके हो तबसरे रात भर उनपे दिल मैं लूटाता रहूँ।

पढ़ के अज़हर दुरूद उन पे सुबह-ओ-शाम दरमिया से मिटा दे हर एक फासला,
और आका के नज़दीक होता रहूँ और आका को नज़दीक लाता रहूँ।

Naat Lyrics in Urdu

محفلِ عاشقوں کی یہ سجتی رہے اور میں عشق کے گیت گاتا رہوں،
یا خدا مجھ کو بھی طرزِ حسانؓ دے عشق میں میں بھی نعتیں سناتا رہوں۔

ایک دن آرزو پوچھ بیٹھے نبی بولے بو بکرؓ ہے دل کی حسرت یہی،
سامنے آپ ہو آپ کی نعت ہو اور میں آپ پر سب لٹاتا رہوں۔

بات نکلے اگر ان کا چہرہ ہے کیا بات نکلے اگر ان کا تلوا ہے کیا،
تو کبھی پھول رکھ دوں میں تمثیل میں تو کبھی سامنے چاند لاتا رہوں۔

تذکرہ سبز گنبد کا چھیڑو ذرا آئے آنکھوں کو دیدار کا وہ مزہ،
خود کو طیبہ میں محسوس کرتا رہوں نور ہی نور میں میں نہاتا رہوں۔

چھوڑ کر ان کی چوکھٹ کو جاؤں کہاں میرے سرکار ہیں مالکِ دو جہاں،
صدقہ حسنینؓ کا وہ لٹاتے رہیں بیٹھ کر میں بھی چوکھٹ پہ کھاتا رہوں۔

آخری یہ تمنا ہے بیمار کی نوکری ہو عطا ان کے دربار کی،
زائروں کو کھجوریں کھلاتا رہوں اور بھر بھر کے زمزم پلاتا رہوں۔

ان کی باتوں کی باتیں کروں رات بھر ذکر ان کا سناؤں سنوں رات بھر،
رات بھر حسن پر ان کے ہو تبصرے رات بھر ان پہ دل میں لٹاتا رہوں۔

پڑھ کے اظہرؔ درود ان پہ صبح و شام درمیاں سے مٹا دے ہر ایک فاصلہ،
اور آقا کے نزدیک ہوتا رہوں اور آقا کو نزدیک لاتا رہوں۔

Leave a Comment