Jo Unki Yaad Me Aansu Bahane Wale Hain || जो उनकी याद में आंसू बहाने वाले हैं

Jo unki yaad me aansu bahane wale hain ek nihayat hi khoobsurat aur pur-asar naat e pak hai jo dilon ko ishq-e-mustafa se sarshaar karti hai.
Is kalam me huzoor e akram ﷺ ki yaad me behne wale mubaarak aansuon ki azmat aur unki bargah se milne wale karam o inayat ka zikr kiya gaya hai.
Hazrat Sajjad Nizami sahab ka ye behad pasandida aur roohani kalam aashiqan e rasool ke dilon me ek anokha jazba bedar karta hai.

Naat Information Details
Naat Title Jo Unki Yaad Me Aansu Bahane Wale Hain
Poet / Writer Sajjad Nizami
Category Naat Sharif
Naatkhawan / Reciter Sajjad Nizami

Naat Lyrics in Roman

Jo unki yaad me aansu bahane wale hain
Mere huzoor madeena bulane wale hain

Hai aastane muhammad adab se baith zara
Wo kuchh hi der me tashreef laane wale hain

Khuda ki yad me nikle jo aankh se aansu
Wo aankh atishie dozakh bujha ne wale hain

Mai unke darka hu adna bhikari ai sajjad
Who dushmano ko gale se lagane wale hain

Naat Lyrics in Hindi

जो उनकी याद में आंसू बहाने वाले हैं
मेरे हुज़ूर मदीना बुलाने वाले हैं

है आस्ताने मुहम्मद अदब से बैठ ज़रा
वो कुछ ही देर में तशरीफ़ लाने वाले हैं

खुदा की याद में निकले जो आंख से आंसू
वो आंख आतिश-ए-दोज़ख़ बुझाने वाले हैं

मैं उनके दर का हूँ अदना भिकारी ऐ सज्जाद
वो दुश्मनों को गले से लगाने वाले हैं

Naat Lyrics in Urdu

جو ان کی یاد میں آنسو بہانے والے ہیں
میرے حضور مدینہ بلانے والے ہیں

ہے آستانِ محمدؐ ادب سے بیٹھ ذرا
وہ کچھ ہی دیر میں تشریف لانے والے ہیں

خدا کی یاد میں نکلے جو آنکھ سے آنسو
وہ آنکھ آتشِ دوزخ بجھانے والے ہیں

میں ان کے در کا ہوں ادنیٰ بھکاری اے سجادؔ
وہ دشمنوں کو گلے سے لگانے والے ہیں

Leave a Comment