Jalwa Kijiye Khwah Parda Kijiye ek nihayat hi maqbool aur ruhanparwar naat-e-paak hai jo Mohaddis-e-Azam-e-Hind Alayhi Rahma ki tehreer-karda ek be-misal ruhanparwar kalam hai. Is dilkash naat e pak mein mureed ki tadap, kaba-e-dil ko madina banane ki khwahish aur sarkar ki bargah-e-noor mein haazri ka sacha shauq nihayat hi dil-soz andaz mein bayan kiya gaya hai. Aaiye is behad pyari naat sharif ko padhein aur Sarkar-e-Do-Aalam ﷺ ki yaad mein apne qulub o azhaan ko roohani sukoon bakhshein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Jalwa Kijiye Khwah Parda Kijiye |
| Poet / Writer | Mohaddis-e-Azam-e-Hind (Allama Pir Sayed Shah Muhammad Abul Muhamid al-Ashrafi al-Jilani) |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Moinuddin Bulbul-e-Mustajab, Huzoor Jilani Miya |
Naat Lyrics in Roman
Jalwa Kijiye Khwah Parda Kijiye,
Mujhko apne paas rakkha kijiye
Vaadi-e-Dil Me Tajalla Kijiye,
Farsh ko Arsh-e-Moalla Kijiye
Unko Lana Hai to Aisa Kijiye,
Kaba-e-Dil Ko Madina Kijiye
Guththiya Taqve ki sab Khul Jayegi,
Unke Rindon Se Na Uljha Kijiye
Aaqili Danaiyon Farzaangi
Unke Diwano se sikha kijiye
Taaq-e-abroo hai ke Mehrab-e-Haram
Ji Me Aata Hai Ke Sajda Kijiye
Jhurm Hai Koi Na Koi Aib Hai
Husn Ko Fir Kyun Chhupaya Kijiye
Baade Saiyed Hath Malkar Keh Pade
Kya Na Kijiye Haye Ab Kya Kijiye
Naat Lyrics in Hindi
जलवा किजीये ख्वाह परदा किजीये,
मुजको अपने पास रख्खा किजीये।
वादी-ए-दिलमे तजल्ला किजीये,
फर्श को अर्श-ए-मोअल्ला किजीये।
अनको लाना है तो ऐसा किजीये,
काबा-ए-दिल को मदीना किजीये।
गुठ्ठिया तक्वे की सब खुल जायगी,
उनके रिन्दों से न उलझा किजीये।
आकिली दानाईयों फ़रजानगी,
अनके दिवानो से सिखा किजीये।
ताक-ए-अबरु है कि मेहराब-ए-हरम,
जी मैं आता है के सजदा किजीये।
झुर्म है कोइ न कोई ऐब है,
हुस्न को फिर कयूँ छुपाया किजीये।
बादे सैय्यद हाथ मलकर कह पडे,
क्या न किजीये हाय अब क्या कीजये।
Naat Lyrics in Urdu
جلوہ کیجیے خواہ پردہ کیجیے،
مجھ کو اپنے پاس رکھا کیجیے
وادیِ دل میں تجلّی کیجیے،
فرش کو عرشِ معلّیٰ کیجیے
اُن کو لانا ہے تو ایسا کیجیے،
کعبۂ دل کو مدینہ کیجیے
گتھیاں تقویٰ کی سب کھل جائیں گی،
اُن کے رندوں سے نہ الجھا کیجیے
عقلی دانائیاں فرزانگی،
اُن کے دیوانوں سے سیکھا کیجیے
طاقِ ابرو ہے کہ محرابِ حرم،
جی میں آتا ہے کہ سجدہ کیجیے
جرم ہے کوئی نہ کوئی عیب ہے،
حسن کو پھر کیوں چھپایا کیجیے
بعدِ سید ہاتھ مل کر کہہ پڑے،
کیا نہ کیجیے ہائے اب کیا کیجیے