Har Su Charcha Hai Aaj Shabbar Ka || हर सू चर्चा है आज शब्बर का

Nawasa-e-Rasool, Jigar-gosha-e-Batool, Hazrat Imam Hasan Al-Mujtaba (Shabbar) Alaihissalam ki shaan mein pesh kiya gaya yeh nihayat hi mitha aur aqeedat se labrez manqabat-e-paak hai. Isme shayar Syed Mahin Ali Qadri ne Imam Hasan Mujtaba ki azmat aur unki aal-e-paak ka zikr bade hi khoobsurat andaaz mein kiya hai. Aayye is noorani kalam ko nihayat hi adab aur aqeedat ke sath mukammal taur par padhein.

Naat Information Details
Naat Title Har Su Charcha Hai Aaj Shabbar Ka
Poet / Writer Syed Mahin Ali Qadri
Category Manqabat-e-Ahle Bait
Naatkhawan / Reciter Various

Naat Lyrics in Roman

Har Su Charcha Hai Aaj Shabbar Ka
Har Zuban Par Hai Name Shabbar Ka

Wo Nawasa Hai Mere Aaqa ka
Or Haidar Hai Baba Shabbar Ka

Aaj mehfil Saji hai Shabbar ki
Zikr Hota hai aaj Shabbar Ka

Jis ko Shabbir Khud Kahe Aaqa
Jo Biradar Hai Mere Shabbar Ka

Urs E Shabbar Hai Tum Suno Logo
Zikr Ho Subh Wo Sham Shabbar Ka

Gaus O Rizkullah hai Un ke Shahezade
Or Mahin Hafeed Shabbar Ka

Gaus E Aazam Hai Un ke Shahezade
Or “Mahin” Hafeed Shabbar Ka

Naat Lyrics in Hindi

हर सू चर्चा है आज शब्बर का
हर ज़बाँ पर है नाम शब्बर का

वो नवासा है मेरे आक़ा का
और हैदर है बाबा शब्बर का

आज महफ़िल सजी है शब्बर की
ज़िक्र होता है आज शब्बर का

जिस को शब्बीर ख़ुद कहे आक़ा
जो बिरादर है मेरे शब्बर का

उर्स-ए-शब्बर है तुम सुनो लोगो
ज़िक्र हो सुब्ह ओ शाम शब्बर का

ग़ौस ओ रिज़्क़ुल्लाह हैं उनके शहज़ादे
और महीन हफ़ीद शब्बर का

ग़ौस-ए-आज़म हैं उनके शहज़ादे
और “महीन” हफ़ीद शब्बर का

Naat Lyrics in Urdu

ہر سو چرچا ہے آج شبّر کا
ہر زباں پر ہے نام شبّر کا

وہ نواسہ ہے میرے آقا کا
اور حیدر ہے بابا شبّر کا

آج محفل سجی ہے شبّر کی
ذکر ہوتا ہے آج شبّر کا

جس کو شبیر خود کہے آقا
جو برادر ہے میرے شبّر کا

عرسِ شبّر ہے تم سنو لوگو
ذکر ہو صبح و شام شبّر کا

غوث و رزق اللہ ہیں ان کے شہزادے
اور مہینؔ حفید شبّر کا

غوثِ اعظم ہیں ان کے شہزادے
اور ”مہینؔ“ حفید شبّر کا

Leave a Comment