Hazrat Hafeez Taib Alaihirrahmah ka tehrir karda yeh nihayat hi riqqat-angez aur mitha naat-e-paak hai, jisme ek bebash aur majboor mangta Aaqa ﷺ ke darbar-e-aqdas mein faryaad pesh kar raha hai. Is kalam ke har ek sher mein gunahgar bandon ki nidamat, be-panah aqeedat aur Madine wale Tajdar ﷺ ki rahmat par mukammal yaqeen jhalakta hai. Aayye is noorani kalaam ko nihayat hi adab o aqeedat ke sath mukammal taur par padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Hazir Hai Dar-e-Daulat Pe Gada |
| Poet / Writer | Hafeez Taib |
| Category | Naat-e-Rasool ﷺ |
| Naatkhawan / Reciter | Various / Al-Haj Muhammad Owais Raza Qadri |
Naat Lyrics in Roman
Haazir Hai Dar-E-Daulat Pe Gada, Sarkaar ! Tawajjoh Farmaye
Mohtaaj-e-nazar Hai Haal Mera, Sarkaar ! Tawajjoh Farmaye
Me Kab Aane Ke Qaabil Tha, Rahmat ne yahaa.n tak pahunchaaya
Sarkaar Pe Tan-Man-Jaan Fida, Sarkaar ! Tawajjoh Farmaye
Me Kar Ke Sitam Apni jaan Par, Quraan Se “Jaaooka” Sun Kar
Aaya hu Bahut Sharminda Saa, Sarkaar ! Tawajjoh Farmaye
Aansoo Aansoo Hai Fariyaadi, Aur ‘Arz-e-karam Hichki Hichki
Dhadkan Dhadkan Deti Hai Sadaa, Sarkaar ! Tawajjoh Farmaye
Ik Me Hi Nahi, Poori Ummat, Saari Duniya, Saari Khalqat
Takti Hai Rasta Rahmat Ka, Sarkaar ! Tawajjoh Farmaye
Naat Lyrics in Hindi
हाज़िर है दर-ए-दौलत पे गदा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ
मोहताज-ए-नज़र है हाल मेरा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ
मैं कब आने के क़ाबिल था, रहमत ने यहाँ तक पहुँचाया
सरकार पे तन-मन-जान फ़िदा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ
मैं कर के सितम अपनी जाँ पर, क़ुरआन से “जाऊका” सुन कर
आया हूँ बहुत शर्मिंदा सा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ
आँसू आँसू है फ़रियादी और ‘अर्ज़-ए-करम हिचकी हिचकी
धड़कन धड़कन देती है सदा, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ
इक मैं ही नहीं, पूरी उम्मत, सारी दुनिया, सारी ख़ल्क़त
तकती है रस्ता रहमत का, सरकार ! तवज्जोह फ़रमाएँ
Naat Lyrics in Urdu
حاضر ہے درِ دولت پہ گدا، سرکار! توجہ فرمائیں
محتاجِ نظر ہے حال میرا، سرکار! توجہ فرمائیں
میں کب آنے کے قابل تھا، رحمت نے یہاں تک پہنچایا
سرکار پہ تن من جان فدا، سرکار! توجہ فرمائیں
میں کر کے ستم اپنی جاں پر، قرآن سے “جاؤکا” سن کر
آیا ہوں بہت شرمندہ سا، سرکار! توجہ فرمائیں
آنسو آنسو ہے فریادی اور عرضِ کرم ہچکی ہچکی
دھڑکن دھڑکن دیتی ہے صدا، سرکار! توجہ فرمائیں
اک میں ہی نہیں، پوری امت، ساری دنیا، ساری خلقت
تکتی ہے رستہ رحمت کا، سرکار! توجہ فرمائیں