Haal E Ummat Pe Tawajju Ki Nazar Ho Jaye || हाल-ए-उम्मत पे तवज्जुह की नज़र हो जाए

Ummat-e-Muslimah ki mojuda pareshaniyon aur mushkilaat se nijat ke liye Huzoor Aqdas ﷺ ki bargah mein pesh ki gayi yeh ek nihayat hi dildoz duaia manqabat-e-naat hai.
Syed Tameem Ashraf Hussaini Shamsi Ashrafi ke is pur-asar aur roohani kalam mein ummat par khas nazre-karam aur aman-o-aman ki behad khubsurat fariyad ki gayi hai.
Aaiye is muqaddas aur pakiza fariyad ke ek ek lafz ko nihayat hi aqeedat aur dil-sozi ke sath parhein aur bargah-e-risalat se khusoosi karam ke talabgar banein.

Naat Information Details
Naat Title Haal e Ummat Pe Tawajju Ki Nazar Ho Jaye
Poet / Writer Syed Tameem Ashraf Hussaini Shamsi Ashrafi
Category Naat / Duaia Kalam (Fariyad)
Naatkhawan / Reciter Traditional / Multiple Reciters

Naat Lyrics in Roman

Haal e ummat pe tawajju ki nazar ho jaye,
Khatm ab zulm ka Aaqa! Ye pahar ho jaye.

Sar sar e jor yahan behti hai har jaa Aaqa,
Ham pareshan hain ab door ye shar ho jaye.

Mulk maman bane jo phaile sadaqat ki hawa,
Mere Sarkaar kabhi aisi sahar ho jaye.

Doobe hain ham jo tahazzun me, nikal jayenge,
Qalb e ummat pe karam ka jo matar ho jaye.

Kufr o ilhaad ke tufa’n me phansi hai kishti,
Aah! Ab door Khudara ye bhanwar ho jaye.

Raah purkhaar hai nikla hun mai dee’n ki khatir,
Paa bazakhmi hun ab aasa’n ye mamar ho jaye.

Sarkashi aam huwi dahr me ab har jaanib,
Haal aye kaash Tameem apna zabar ho jaye.

Az: Syed Tameem Ashraf Hussaini Shamsi Ashrafi

Naat Lyrics in Hindi

हाल-ए-उम्मत पे तवज्जुह की नज़र हो जाए,
ख़त्म अब जुल्म का आक़ा! ये पहर हो जाए।

सर-सर-ए-जौर यहाँ बहती है हर जा आक़ा,
हम परेशान हैं अब दूर ये शर हो जाए।

मुल्क मामन बने जो फैले सदाक़त की हवा,
मेरे सरकार कभी ऐसी सहर हो जाए।

डूबे हैं हम जो तहज़्ज़ुन में, निकल जाएँगे,
क़ल्ब-ए-उम्मत पे करम का जो मटर हो जाए।

कुफ़्र ओ इल्हाद के तूफ़ाँ में फँसी है कश्ती,
आह! अब दूर ख़ुदारा ये भँवर हो जाए।

राह पुरख़ार है निकला हूँ मैं दीं की ख़ातिर,
पा-ब-ज़ख़्मी हूँ अब आसाँ ये ममर हो जाए।

सरकशी आम हुई दहर में अब हर जानिब,
हाल ऐ काश तमीम अपना ज़बर हो जाए।

अज़: सैयद तमीम अशरफ़ हुसैनी शम्सी अशरफ़ी

Naat Lyrics in Urdu

حالِ امت پہ توجہ کی نظر ہو جائے،
ختم اب ظلم کا آقا ! یہ پہر ہو جائے ۔

صر صرِ جور یہاں بہتی ہے ہر جا آقا،
ہم پریشان ہیں اب دور یہ شر ہو جائے ۔

ملک مامن بنے جو پھیلے صداقت کی ہوا،
میرے سرکار کبھی ایسی سحر ہو جائے ۔

ڈوبے ہیں ہم جو تحزّن میں، نکل جائیں گے،
قلبِ امت پہ کرم کا جو مطر ہو جائے ۔

کفر و الحاد کے طوفاں میں پھنسی ہے کشتی،
آہ! اب دُور خدارا یہ بھنور ہو جائے ۔

راہ پرخار ہے نکلا ہوں میں دیں کی خاطر،
پا بزخمی ہوں اب آساں یہ ممر ہو جائے ۔

سرکشی عام ہوئی دہر میں اب ہر جانب،
حال اے کاش تمیم اپنا زبر ہو جائے ۔

از: سید تمیم اشرف حسینی شمسی اشرفی

Leave a Comment