Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein || अल्लाह ने पहुँचाया सरकार के क़दमों में

Huzoor Sarwar-e-Konain ﷺ ki bargah-e-aqdas mein nihayat hi aqeedat o muhabbat aur ashq-baar dilon ke sath pesh kiya gaya yeh khubsoorat kalam ashiqan-e-Mustafa ke dilon ko roohani sukoon o qaraar bakhshta hai. Is mabaarak Naat Sharif ‘Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein’ mein Madine ki haazri, wahan ki nooraniiyat aur Aaqa ﷺ ke qadmon mein guzaare gaye un haseen lamhon ka zikr nihayat hi roohani andaz mein kiya gaya hai. Aaiye nihayat hi adab aur ehtiram ke sath is pyare aur dil-kash kalam ke mukammal ashaar ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan mein mulaiza farmayein.

Naat Information Details
Naat Title Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Poet / Writer Syed Sabihuddin Rehmani
Category Naat Sharif
Naatkhawan / Reciter Syed Sabihuddin Rehmani / Syed Fasihuddin Soharwardi

Naat Lyrics in Roman

Allah Ne Pohnchaya Sarkar Ke Qadmon Mein
Sadd Shukar Keh Mein Phir Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Rad Kaisay Bhala Hogi Ab Koi Dua Meri
Mein Rub Ko Pukar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Kuch Kehne Se Pehle Hee Puri Hoi Har Khuwahish
Jo Socha Wohi Paaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Kuch Lamhay Huzoori Ke Paaye Tou Ye Lagta Hai
Ik Umar Guzaar Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Mujh Jaisa Tahee Damaan Kiya Nazar Ko Lejaata
Ik Naat Suna Aaya Sarkar Ke Qadmon Mein

Yaad Aayi Sabih Apni Har Aik Khata Mujh Ko
Aamaal Pe Sharmaaya Sarkaar Ke Qadmon Mein

Naat Lyrics in Hindi

अल्लाह ने पहुँचाया सरकार के क़दमों में
सद शुक्र कि मैं फिर आया सरकार के क़दमों में

रद कैसे भला होगी अब कोई दुआ मेरी
मैं रब को पुकार आया सरकार के क़दमों में

कुछ कहने से पहले ही पूरी हुई हर ख़्वाहिश
जो सोचा वही पाया सरकार के क़दमों में

कुछ लम्हे हुज़ूरी के पाए तो ये लगता है
इक उम्र गुज़ार आया सरकार के क़दमों में

मुझ जैसा तही-दामन क्या नज़्र को ले जाता
इक नात सुना आया सरकार के क़दमों में

याद आई सबीह अपनी हर एक ख़ता मुझको
आमाल पे शर्माया सरकार के क़दमों में

Naat Lyrics in Urdu

اللہ نے پہنچایا سرکارﷺ کے قدموں میں
صد شکر کہ میں پھر آیا سرکارﷺ کے قدموں میں

رد کیسے بھلا ہوگی اب کوئی دعا میری
میں رب کو پکار آیا سرکارﷺ کے قدموں میں

کچھ کہنے سے پہلے ہی پوری ہوئی ہر خواہش
جو سوچا وہی پایا سرکارﷺ کے قدموں میں

کچھ لمحے حضوری کے پائے تو یہ لگتا ہے
اک عمر گزار آیا سرکارﷺ کے قدموں میں

مجھ جیسا تہی دامن کیا نذر کو لے جاتا
اک نعت سنا آیا سرکارﷺ کے قدموں میں

یاد آئی صبیحؔ اپنی ہر ایک خطا مجھ کو
اعمال پہ شرمایا سرکارﷺ کے قدموں میں

Leave a Comment