Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai || अमल नहीं कुछ भी ये हाल हमारा है

Apni khataon aur gunahon ke bojh se dabay gunahgar ummati ka ajeezana iqrar aur Rasool-e-Pak ﷺ ki rehmat par mukammal yaqeen is haseen kalam me samoya gaya hai. Is naat pak me aashiq-e-mustafa ke jazbaat aur unke dil ki be-qarari ko nihayat asardaar andaaz me bayan kiya gaya hai. Aaiye is pakiza kalam ko dil se padhein aur apni rooh ko roshan karein.

Naat Information Details
Naat Title Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
Poet / Writer Muhammad Amin Aasi
Category Naat Sharif / Munajat
Naatkhawan / Reciter Hafiz Furqan Qadri

Naat Lyrics in Roman

Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai
Bas Aap Ki Rehmat Ka Sarkar Sahara Hai

Dooba Hun Gunahon Main, Sarkar Karam Karna
Rahmat Bhi Tumhari, Banda Bhi Tumhara Hai

Ay Maut Zara Ruk Ja, Kiya Itni Bhi Jaldi Hai
Aankhon Main Abhi Meri, Taiba Ka Nazara Hai

Chahay Yeh Jahan Chootay, Chahay Yeh Jahan Roothay
Tootay Na Shaha Tum Say, Rishta Jo Hamara Hai
Tootay Na Meray Maula, Rishta Jo Hamara Hai

Hai Passt Agar Qismat, Ghabra Na Amin Aasi
Woh Jeet Gaya Mehshar, Duniya Main Jo Hara Hai

Taufeeq Mujhay Di Hai, Duniya Main Jo Naatoun Ki
Mehshar Main Bhi Keh Dena, Furqan Hamara Hai

Naat Lyrics in Hindi

अमल नहीं कुछ भी ये हाल हमारा है
बस आप की रहमत का सर्कार सहारा है

डूबा हूँ गुनाहों में, सर्कार करम करना
रहमत भी तुम्हारी, बंदा भी तुम्हारा है

ऐ मौत ज़रा रुक जा, क्या इतनी भी जल्दी है
आँखों में अभी मेरी, तैबा का नज़ारा है

चाहे ये जहाँ छूटे, चाहे ये जहाँ रूठे
टूटे न शहा तुम से, रिश्ता जो हमारा है
टूटे न मेरे मौला, रिश्ता जो हमारा है

है पस्त अगर क़िस्मत, घबरा ना अमीन आसी
वो जीत गया महशर, दुनिया में जो हारा है

तौफ़ीक़ मुझे दी है, दुनिया में जो नातों की
महशर में भी कह देना, फ़ुरक़ान हमारा है

Naat Lyrics in Urdu

اعمال نہیں کچھ بھی یہ حال ہمارا ہے
بس آپ کی رحمت کا سرکار سہارا ہے

ڈوبا ہوں گناہوں میں، سرکار کرم کرنا
رحمت بھی تمہاری، بندہ بھی تمہارا ہے

اے موت ذرا رک جا، کیا اتنی بھی جلدی ہے
آنکھوں میں ابھی میری، طیبہ کا نظارہ ہے

چاہے یہ جہاں چھوٹے، چاہے یہ جہاں روٹھے
ٹوٹے نہ شہا تم سے، رشتہ جو ہمارا ہے
ٹوٹے نہ میرے مولیٰ، رشتہ جو ہمارا ہے

ہے پست اگر قسمت، گھبرا نہ امین عاصی
وہ جیت گیا محشر، دنیا میں جو ہارا ہے

توفیق مجھے دی ہے، دنیا میں جو نعتوں کی
محشر میں بھی کہہ دینا، فرقان ہمارا ہے

Leave a Comment